Pal do pal ki hai
Yeh apni zindgaani
Jee le toh suhaani
Ya phir hai beimaani
Khwabon ke dum pe hai
Iski har rawani
Iski dhun pe naache
Hoke hum roohaani
Aankhon ne aankhon se
Nazron ki zabaani
Lafzon se chhupayi hai
Yeh woh kahaani
Din ke saaye mein
Ho raatein bhi begaani
Kar dein hum fanaa
Apni bezubaani
Zinda dili… Yahoo
Zinda dili… Yahoo
Zinda dili… O…
Roothi raaton ki hai
Jhoothi yeh siyaahi
Sooni saanson se
Tu paa lega judayi
Jeena hai tujhe toh
De de yeh gawaahi
Likh de aasmaan pe
Apni hi rihaai
Sun le har ghadi
Jo deti hai duhayi
Apne haath mein hai
Apni hi rubayi
Girti boondon si hai
Duniya yeh banayi
Udte lamhon ne hai
Humko yeh sikhayi
Zinda dili… Yahoo
Zinda dili…
Soyi hai jo khushi
Saanson mein jo basi
Rahein nayi mili mili
Zinda dili… Yahoo
Zinda dili…
======================================================
Navigate to: