(koi kaam nahi hain mushkil
jab kiya irada pakka
ke main hu aadmi sadak ka – 2 ) – 2
mohabbat mera dharm imaan hain – 2
meri jaat toh sirrf insaan hain
wahi jisne banaye hain dono jahaan – 2
woh mera raam hain mera rehmaan hain
sir jhukaya toh dekhi kaashi aur sajda kiya toh makka
ke main hu main hu main hu aadmi sadak ka
koi kaam nahi hain mushkil
jab kiya irada pakka
ke main hu aadmi sadak ka – 2
pitche hat jau yeh maine sikha nahi -2
hogi manzil kaha yeh bhi socha nahi
jab bada hausla phat gaya phasla – 2
rokne se kisi ke main rukta nahi
himmat hi mera tanga himmat hi mera ekka
ke main hu main hu main hu aadmi sadak ka
koi kaam nahi hain mushkil
jab kiya irada pakka
ke main hu aadmi sadak ka – 2
ek sadak hain yeh insaan ki zindagi – 2
iske har mode par miltey gam aur khushi
jo bhi ghabraya woh reh gaya raah mein – 2
aur gaya jo usi ko hain manzil mili
thokar ko mari thikar aur dhakke ko mara dhakka
ke main hu main hu main hu aadmi sadak ka
koi kaam nahi hain mushkil
jab kiya irada pakka
ke main hu aadmi sadak ka – 2
Navigate to:
Guitar Tuner
Guitar Chords
Buy Guitar
Lyrics Khojo