Aisi aankhe nahi dekhi
Aisi aankhe nahi dekhi
Aisa kajal nahi dekha
Aisa jalwa nahi dekha
Aisa chehara nahi dekha
Jab ye daaman ki hawa de, aag jungle me laga de
Jab ye sehrao me jaye, ret me phul khilaye.
Aisi duniya nahi dekhi, aisa manzar nahi dekha
Aisa aalam nahi dekha, aisa dilbar nahi dekha
Uske kangan ka khanakna, jaise bulbul ka chehakna
Uski pazeb ki cham-cham, jaise barsat ka mausam.
Aisa sawan nahi dekha, aisi barish nahi dekhi
Aisi rim-jhim nahi dekhi, aisi khwahish nahi dekhi
Uski bebaak si batein, jaise sardi ki ho ratein
Uff ye tanhayi ye masti, jaise tufan me kashti.
Meethi koyal si hai boli, jaise geeto ki rangoli
Surkh galo pe pasina, jaise fagun ka mahina
Aisi ankhen nahi dekhi, aisa kajal nahi dekha
Aisa jalwa nahi dekha, aisa chehara nahi dekha.
======================================================
Navigate to:
Guitar Tuner
Guitar Chords
Buy Guitar
Lyrics Khojo