O yun na lamha lamha meri yaad mein
Hoke tanha tanha mere baad mein
Naina ashq na ho
Maana kal se honge hum door
Naina ashq na ho
Naina ashq na ho…
Main na lauta aane waale saal jo
Meri wardi bole mera haal toh
Naina ashq na ho
Yeh samajhna, main hoon majboor
Naina ashq na ho
Naina ashq na ho…
Beete huey lamhon ke taare ginunga main
Aake tujhe khwaabon mein tere milunga main
Jab kabhi halki halki barkha aaye
Jab kabhi dil bhi yunhi bhar sa jaaye
Jab kabhi halki halki barkha aaye
Uss pal jhonka ik banke aaunga main
Us pal zulfe palke daaman chhu jaaunga main
O teri choodi nagmein gaaye jo mere
Teri palkon pe ho saaye jo mere
Naina ashq na ho
Aansu karte humein kamzor
Naina ashk na ho
Naina ashk na ho…
Tere liye saansein aaye
Teri liye jaaye, jaaye re… jaaye re…
Tere liye saansein aay
Teri liye jaaye, jaaye re… jaaye re…
Rabba…
Rabba bairi se bichode jaane kisne banaye
Haaye re, haaye re, haaye re… doori tadpaaye
Mere baad chaahe aaye yaad meri
Naina ashq na ho
Naina ashq na ho
Naina ashq na ho…
Ashq na ho ho ho ho…
O Likhi khat mein maine tujhe baat jo
Sona rakh ke takiye tale raat ko
Naina ashq na ho
Ye judaai bhi hai dastoor
Naina ashq na ho
Naina ashq na ho…
Main na lauta aane waale saal jo
Meri wardi bole mera haal to
Naina ashq na ho
Ye samjhna, main hoon majboor
Naina ashq na ho
Naina ashq na ho…