Chhod diya wo raasta
Jis raaste se tum the guzrein
Chhod diya wo raasta
Jis raaste se tum the guzrein
Tod diya wo aaina
Jis aaine mein tera aks dikhe
Main shehar mein tere
Tha gairo sa
Mujhe apna koyi na mila
Tere lamhon se
Mere jakhmon se
Ab toh main door chala
Rukh na kiya unn galiyon ka
Jin galiyon mein teri baatein ho
Chhod diya wo raasta
Jis raaste se tum the guzrein
Main tha musafir raahan ka teri
Tujh tak mera tha daayara
Main tha musafir raahan ka teri
Tujh tak mera tha daayara
Main bhi kabhi tha mehbar tera
Khanabadosh main ab thehra
Khanabadosh main ab thehra
chhoota nahi unn foolon ko
Jin foolon mein teri khusboo ho
Ruth gaya unn khwaabon se
Jin khwaabon mein tera khwaab bhi ho
Kuchh bhi na paya maine safar mein
Hoke safar ka main reh gaya
Kuchh bhi na paya maine safar mein
Hoke safar ka main reh gaya
Kaagaz ka boshida ghar tha
Bheegte baarish mein beh gaya
Bheegte baarish mein beh gaya
Dekhun nahi uss chaandni ko
Jis mein ke teri perchhayi ho
Door hoon main in hawaaon se
Ye hawa tujhe chhoo ke bhi aayi na ho