Tukdon Ki Ye..Tasveer Hai..
Tukdo Mein Bhi Lekin Haseen Tehrir Hai
Kehne Ko Yun..Keh Lijiye..
Tevar Bhari Zewar Numa Ye Zanjeer Hai
Ye Zindagi Jua Hai
Kisko Yakin Hua Hai
Baaziyan Na Munaasib Kahi Badh Jaaye Na
Ik Tarfa Safar Ke Lab Pe Yehi Duaa Hai
Kahin Na Ganwaara Mod Koyi Mud Jaaye Na
Khuda Na Khaasta Khuda Na Khaasta
Khudaya Khair Kar Khuda Na Khasta..
Ik Hath Mein..Saugat Hai..
Aur Doosre Mein Ranjishein Hai Jazbat Hain
Na Jaane Kyon..Iske Liye..
Kohram Mein Kuch Itminaan Si Baat Hai
Ye Zindagi Dhuaan Hai
Kisne Isey Chhua Hai
Titliyon Ki Tarah Shokh Hai Ud Jaaye Na
Ek Tarfa Safar Ke Lab Pe Yahi Dua Hai
Kahi Na Ganvara Mod Koi Mud Jaaye Na
Khuda Na Khasta Khuda Na Khasta
Kudaaya Khair Kare Khuda Na Khasta..
O..Jeene Ko Jo Aashiyaana Biyaaban Hai
O..Palta Usee Aashiyaane Mein Toofan Hai
Saaiyaan..Saaiyaan..
Pa Ni Sa Re Sa Re Pa Ga..
Itni Silwatein Maazi Mein Padeen
Jeene Ki Wajah Unse Thi Badi
O..Zaaya Baat Kyun Shikwo Mein Kare
Adhuri Hasratein Dar Pe Hain Khadi
O..Ye Zindagi Nasha Hai
Takleef Mein Mazaa Hai
Iski Fitrat Mein Hi Jung Hai Chhid Jaaye Na
Ik Tarfa Safar Ke Lab Pe Yehi Dua Hai
Kahin Na Ganvara Mod Koyi Mud Jaye Na
Khuda Na Khaasta Khuda Na Khasta
Khudaya Khair Kar Khuda Na Khaasta.. [x2]
======================================================
Navigate to: