Tu zinda hai to zindagi ki jeet mein yakeen kar

Agar kahin hai swarg to utaar la zameen par

Tu zinda hai

Ye gham ke aur chaar din sitam ke aur chaar din

Ye din bhi jaayenge guzar guzar gaye hazaar din

Ye gum ke aur chaar din sitam ke aur chaar din

Ye din bhi jayenge guzar guzar gaye hazaar din

Kabhi to hogi iss chaman pe bhi bahaar ki nazar

Agar kahin hai swarg to utaar la zameen par

Tu zinda hai

Tu zinda hai to zindagi ki jeet mein yakeen kar

Agar kahin hai swarg to utaar la zameen par

Tu zinda hai

Hazaar bhes dhar ke aayi maut tere dvaar par

Magar tujhe na chhal saki chali gayi wo haar kar

Hazaar bhes dhar ke aayi maut tere dwaar par

Magar tujhe Na chhal saki chali gayi wo haar kar

Nayi subha ke Sang sada tujhe mili nayi umr

Agar kahin hai Swarg to utaar la zameen par

Tu zinda hai

Tu zinda hai tu zindagi ki jeet mein yakeen kar

Agar kahin hai swarg to utaar la zameen par

Tu zinda hai

Buri hai aag pet ki bure hai dil ke daag ye

Na dab sakenge ek din banenge inquilaab ye

Buri hai aag pet ki bure hain dil ke daag ye

Na dab sakenge ek din banenge inquilaab ye

Girenge julm ke mahal banenge phir naveen ghar

Agar kahin hai swarg toh utaar la zameen par

Tu Zinda hai

Tu Zinda hai tu zindagi ki jeet mein yakeen kar

Agar kahin hai swarg to utaar la zameen par

Tu zinda hai

Tu zinda hai tu zindagi ki jeet mein yakeen kar

Agar kahin hai swarg to utaar la zameen par

Tu zinda hai

Tu zinda hai tu zindagi ki jeet mein yakeen kar

Agar kahin hai swarg to utaar la zameen par

Tu zinda hai.

======================================================

Navigate to:

Guitar Tuner

Guitar Chords

Buy Guitar

Lyrics Khojo

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *