tere jaane ka gham aur na aane ka gham
phir zamaane ka gham, kya karein?
raah dekhe nazar raat bhar jaag kar
par teri to khabar na mile
bahut aayi-gayi yaadein,
magar is baar tum hi aana
iraade phir se jaane ke nahin laana,
tum hi aana
meri dahleez se hokar bahaarein jab guzarati hain
yahaan kya dhoop, kya saavan, hawayein bhi barasati hain
hamein puchho, “kya hota hai bina dil ke jiye jaana”
bahut aayi-gayi yaadein,
magar iss baar tum hee aana
koyi to raah vo hogi jo mere ghar ko aati hai
karo peechha sadaon ka,
suno kya kehana chahti hain
tum aaoge mujhe milane,
khabar ye bhi tum hi laana
bahut aayi-gayi yaadein,
magar iss baar tum hi aana
Marjaavaan…….Marjaavaan
======================================================
Navigate to: